Pandya store Written Update, 27 ecember 2023 Written Update on Writtenupdated
Pandya store Written Update – Upcoming Episode
Aaj ke episode mein Isha ne Dhara ki chudiyaan Natasha ko lauta di kyunki ye Yash ne usko rishta pakka karne ke time di thi. Isha ne kaha ki uska dil ka ek hissa hamesha Yash ke saath rahega lekin wo apne parivaar ko dukh dekar usse shaadi nahi kar sakti. Natasha se kehta hai Yash ko bata dena ki wo use bhool jaaye.
Rohan ko Amba kehti hai kuch sabit karne ki zarurat nahi hai kyunki Natasha cheezen kharab karne mein mahir hai. Dhawal dekhta hai Natasha aur Isha ko ek dusre ko gale lagate hue. Suhani ke saath shaadi se pehle shak mitana chahta hai Rohan.
Rohan apni begunahi sabit karne ke liye taiyaar hota hai. Suhani use apne ghar le jaati hai khana khane se pehle. Lekin Amba mana karti hai. Suman puchhti hai Natasha aur Chiku kahaan chale gaye. Jab Chiku mithai leke aata hai to batata hai usse construction site par manager ki naukri mili hai.
Natasha aakar Dhara ki chudiyaan Chiku ko deti hai. Bataati hai Isha ne pyaar se lauta di. Isha ki aankhon mein dikh raha tha ki uska dil Yash ke paas hai lekin uski shaadi tay hai.
Meethu kehta hai Isha ko bhaagake le aayenge. Natasha ko dekhkar dukhi hai aur ab Chiku bhi aise nahi dekh sakta. Pandya Store ki renovation ki baat hoti hai. Chiku sochta hai store sahi ho sakta hai lekin Natasha jo seh rahi hai uska badla zarur lega.
Hetal kehti hai Dhawal abhi Natasha se pyaar karta hai aur use vishwas karta hai. Pranali chahti hai dono ko kamre mein band kar dein aur talaaq wapas lelein. Dhawal Pandya house ke paas aata hai lekin andar nahi jaata, Natasha ko bulaane ka sochta hai. Tabhi Sandip aata hai gaadi mein apne lawyer ke saath. Dhawal gussa hoke Sandip ko maarta hai jab usne Natasha ke baare mein galat baat ki.
Natasha dono ko ladte dekh hairan ho jaati hai. Wo rokne ki koshish karti hai aur dhakka khakar gir jaati hai lekin Dhawal use pakad leta hai. Natasha sawaal karti hai iss baat par. Ghar mein pandit kehte hai pehle Ganesh puja karein aur kal se rituals shuru karein. Shaadi ki date 25 tay hai.
Natasha Dhawal ko chodke jaati hai. Rohan Amba ko call karke Isha se baat karne ko kehta hai lekin Amba use rokti hai. Episode khatam hota hai jab Amba Dhawal ke choton ko dekhke pareshan hoti hai aur shaadi ki date ke baare mein batati hai.
Overall, aaj ka episode natasha aur dhawal ke beech natak aur emotion se bhara hua tha.